aankhon mein aansoo hote hue bhi muskuraya hai maine.
ae zindagi har pal tera saath nibhaya hai maine.
meri har khwahish se muh moda tune.
mera dil har baar toda tune.
is dil ke tukdon ko sambhaala hai maine.
ae zindagi har pal tera saath nibhaya hai maine.
subah ki tamanna ko tu ne shaam di.
jahan dhoop ki chah thi wahan barsaat di.
mera har rasta badalwaya tune.
mere har hausale ko aazmaya tune.
phir bhi har kadam aage badhaya hai maine.
ae zindagi har pal tera saath nibhaya hai maine.
aaj..
aaj tu mujhe chhod ke ja rahi hai?
meri rukti hui saanso mein muskura rahi hai?
jo bhi hai tu, mujhe teri aadat ho gayi.
tere nakhron ki, dikaton ki chahat ho gayi.
aur aaj jab mein palat ke dekhti hun..
ae zindagi har pal mujhe sawara tha tune.
Friday, June 06, 2008
Subscribe to:
Posts (Atom)
